Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi – Woh Barsaat Ki Raat

Zindagi Bhar Nahi Bhulegi – Woh Barsaat Ki Raat

Year: 
1960
Music Director: 
Lyricist: 
Sahir Ludhianvi

Lyric

Hmmmm hmmmm
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan haseena se mulaqaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi...

Haaye wo reshmi
Zulfon se barasta paani
Haaye wo reshmi
Zulfon se barasta paani

Phool se gaalon pe
Rukne ko tarastaa paani
Dil mein toofan uthaate huey
Dil mein toofan uthaate huey
Jazbaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Dar ke bijli se achaanak
Wo lipatna uska
Aur phir sharm se
Bal kha ke simatna uska
Kabhi dekhi na suni aisi ho
Kabhi dekhi na suni aisi
Tilismaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Surkh aanchal ko daba kar
Jo nichoda usne
Surkh aanchal ko daba kar
Jo nichoda usne

Dil pe jalta huaa
Ek teer sa chhoda usne
Aag paani mein lagaate hue
Aag paani mein lagaate hue
Haalaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Mere naghmo mein
Jo basti hai wo tasveer thi wo
Naujawaani ke haseen
Khwaab ki taabir thi wo
Aasmaano se utar aayi ho
Aasmaano se utar aayi thi
Jo raat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi
Wo barsaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi