Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Zaroorat Hai ( 3 ) Ek Shrimati Ki Kala Wati Ki Sewa Kare kare jo pati ki

Zaroorat Hai ( 3 ) Ek Shrimati Ki Kala Wati Ki Sewa Kare kare jo pati ki

Film: 
Year: 
1962
Music Director: 
Lyricist: 
Rajinder Krishnan

Lyric

Zaroorat hai zaroorat hai, sakht zaroorat hai
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Ek shrimati ki, kalawati ki, sewa kare jo pati ki
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Ek shrimati ki, kalawati ki, sewa kare jo pati ki
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Haseen hajaro bhi ho khade, magar usi par najar pade
Haseen hajaro bhi ho khade, magar usi par najar pade

Ho julf galo se khelati, ke jaise din raat se lade
Ho ho ho ho

Adao mein bahar ho, nigaho me khumar ho
Kubul mera pyar ho to, kya baat hai

Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai
Ek shrimati ki, kalawati ki, sewa kare jo pati ki
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Jhatak ke gesu jaha chale, to sath me aasma chale
Jhatak ke gesu jaha chale, to sath me aasma chale

Lipat ke kitne bhi pao se, ye puchhate ho kaha chale
Ho ho ho ho
Pyar se jo kaam le, hans ke salam le
Wo hath mera tham le, to kya baat hai

Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai
Ek shrimati ki, kalawati ki, sewa kare jo pati ki
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Itar me sanse basi basi, wo mastiyo me rasi rasi
Itar me sanse basi basi, wo mastiyo me rasi rasi

Daraj palke jhuki jhuki, bhave ghaneri kasi kasi
Ho ho ho ho

Phulo me gulab ho khud apna jawab ho
Wo pyar ki kitab ho to kya bat hai

Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai
Ek shrimati ki, kalawati ki, sewa kare jo pati ki
Zaroorat hai zaroorat hai, zaroorat hai

Ha ha shrimati ki, ho ho kalawati ki
Sewa kare jo pati ki

Zaroorat hai zaroorat hai, zarurat hai
Sakht zaroorat hai.