Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Yahan Mai Ajnabee Hun - Mai Jo Hun Bas Wohi Hun

Yahan Mai Ajnabee Hun - Mai Jo Hun Bas Wohi Hun

Year: 
1965
Music Director: 
Lyricist: 
Anand Baxi

Lyric

kabhi pehle dekha nahin yeh samaa
yeh main bhool se aa gaya hoon kahaan
yahaan main ajnabi hoon
yahaan main ajnabi hoon
main jo hoon bas wohi hoon
main jo hoon bas wohi hoon
yahaan mein ajnabi hoon
yahaan mein ajnabi hoon

kahaan shaam-o-sehar yeh
kahaan din raat mere
bahut ruswa huye hain
yahaan jazbaat mere
nayi tehzeeb hai yeh
naya hai yeh zamaana
magar main aadmi hoon
wohi sadiyon puraana
main kya janoon yeh baaten
zara insaaf karna
meri gustaakhiyon ko
khudaara maaf karna
yahaan main ajnabi hoon
yahaan main ajnabi hoon

teri baahon mein dekhoon
sanam gairon ki baahen
main laoonga kahaan se
bhala aisee nigaahen
yeh koi raksh hoga
koi dastoor hoga
mujhe dastoor aisa
kahaan manzoor hoga
bhala kaise yeh mera
lahoo ho jaaye paani
main kaise bhool jaoon
main hoon Hindustani
yahaan main ajnabi hoon
yahaan main ajnabi hoon

mujhe bhi hai shikaayat
tujhe bhi to gilaa hai
yehi shikwe hamaari
mohabbat ka silaa hai
kabhi magrib se mashrik
mila hai jo milega
jahaan ka phool hai jo
wahin pe woh khilega
tere oonche mahal mein
nahin mera guzaara
mujhe yaad aa raha hai
woh chhota sa shikaara
yahaan main ajnabi hoon
yahaan main ajnabi hoon
main jo hoon bas wohi hoon
main jo hoon bas wohi hoon
yahaan main ajnabi hoon
yahaan main ajnabi hoon