Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Vo Sikandar Hi Dosto Kahalata Hai

Vo Sikandar Hi Dosto Kahalata Hai

Singer: 
Year: 
1992
Music Director: 
Lyricist: 
Majrooh Sultanpuri

Lyric

wo sikandar hi dosto kehlata hai
haari baazi ko jitna jise aata hai
nikalege maidan me jis din ham jhum ke
dharati dolegi ye kadam chumke
hey nikalege maidan me jis din ham jhum ke
dharti dolegi ye kadam chumke
wo sikandar hi dosto kehlata hai

jo sab karte hai yaaro wo kyo ham tum kare
yu hi kasrat karte karte kaahe ko ham mare
gharwalo se teacher se bhala ham kyun dare
yaha ke ham sikandar
chahe to rakh le sabko apni jeb ke andar
are hamse bachke rehna meri jaan
nahi samjhe hai wo hame to kya jata hai
haari baazi ko jitna hame aata hai

ye galiya apni ye raste apne kaun aayega apne aage
raaho me hamse takarayega jo hat jayega wo ghabra ke
yaha ke ham sikandar
chahe to rakh le sabko apni jeb ke andar
are hamse panga mat lena meri jaan
nahi samjhe hai wo hame to kya jata hai
haari baazi ko jitna hame aata hai

ye bholi bhali matvali pariya jo hai ab daulat pe kurban
jab kimat dil ki ye samajhegi to hampe chhidkegi apni jaan
yaha ke ham sikandar
chahe to rakh le sabko apni jeb ke andar
are ham bhi hai shehzade gulfaam
nahi samjhe hai wo hame to kya jata hai
haari baazi ko jitna hame aata hai
nikalege maidan me jis din ham jhum ke
dharati dolegi ye kadam chumke
hey nikalege maidan me jis din ham jhum ke
dharti dolegi ye kadam chum ke
nahi samjhe hai wo hame to kya jata hai