Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Me Saamil Ho

Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Me Saamil Ho

Singer: 
Year: 
1980
Music Director: 
Lyricist: 
Nida Fazli

Lyric

Tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai
jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Ye aasmaan ye baadal ye raaste ye hawa
Har ek cheez hai apni jagah thikane se
Kayi dino se shikayat nahi zamane se
Ye zindagi hai safar tu safar ki manzil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Har ek phool kisi yaad sa mehakta hai

Tere Khayal se jaagi hui fizayein hain

Ye subz ped hain ya pyaar ki duwaein hain

Tu paas ho ke nahin phir bhi tu muqabil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Har ek shai hai muhabbat ke noor se roshan

Ye roshani jo na ho zindagi adhuri hai

Rah-e-wafa mein koi humsafar zaroori hai

Ye rasta kahin tanha kate to mushkil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere bagair jahan mein koi kami si thi

Bhatak rahi thi jawani andheri raahon mein
Sukoon dil ko mila aake teri baahon mein
Main ek khoyi huyi mauj hoon tu saahil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere jamal se roshan hai kaaynaat meri
Meri talaash teri dilkashi rahe baaki
Khuda kare ke ye deewangi rahe baaki
Teri wafa hi meri har khushi ka haasil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai
tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai