Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Rukh Se Jara Naqab Utha Lo Mere Huzoor

Rukh Se Jara Naqab Utha Lo Mere Huzoor

Year: 
1968
Music Director: 
Lyricist: 
Hasrat Jaipuri

Lyric

apne rukh par
nigaah karne do
khoobsoorat gunaah karne do
rukh se parda
hataao jaan e haya
aaj dil ko tabaah karne do

rukh se zara
naqaab utha do
mere huzoor
rukh se zara
naqaab utha do
mere huzoor

jalwa phir ek baar dikha do
mere huzoor
wo marmari se haath
wo mehka hua badan
wo marmari se haath
wo mehka hua badan

takraaya mere dil se
muhabbat ka ek chaman
mere bhi dil ka phool khila do
mere huzoor

rukh se zara naqaab utha do
mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do
mere huzoor

husn o jamaal aap ka
sheeshe mein dekh kar
husn o jamaal aap ka
sheeshe mein dekh kar

madhosh ho chuka hoon main
jalwon ki raah par
gar ho sake to hosh mein la do
mere huzoor

rukh se zara naqaab utha do
mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do
mere huzoor

tum humsafar mile ho
mujhe is hayaat mein
tum humsafar mile ho
mujhe is hayaat mein

mil jaaye jaise chaand
koi sooni raat mein
jaaoge tum kahaan
ye bata do
mere huzoor

rukh se zara naqaab utha do
mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do
mere huzoor