Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Panna Ki Tamanna Hai Ke Heera Mujhe Mil Jaaye

Panna Ki Tamanna Hai Ke Heera Mujhe Mil Jaaye

Year: 
1973
Music Director: 
Lyricist: 
Anand Baxi

Lyric

(dialogue before the song)
dev: sooraj namashkar kar raha hai aapko, zara hat toh
hathayiye
chehra choomne deejiye apna!
*pause*
*laughingly* sooraj ki sunehri kirnon ko!

zeenat: *sigh of releif* mmmhmhm

dev: aapko kuch maloom bhi hai ki aap kahan hain,
kahan se aa rahi hain, kahan jaayengi, raat ko kya
hua, kaise hua, kyon hua?

zeenat: aapki pistol kahan hai?

dev: meri jeb mein!

zeenat: auraur woh aadmi bhaag gaya tha na raat ko?

dev: abhi tak toh nahin aaya wapas, lekin yeh toh batayiye
ki mujh mein aisi kya gasoosiyat(?) hai ki aap mere
saath akeli aane ko taiyaar ho gayin aur woh shaaks
jis se aapki jaan pehchaan bhi hai

zeenat: sach boloon?

dev: jhooth boliyega toh utar doonga gaadi se, peidal
chalke jana padega bangalore ki taraf!

zeenat: isliye ki aap ke paas ek khaas cheez hai jo uske
paas nahin!

dev: khya?

zeenat: heera!

dev: bahar se kaise baamp liya aapne, woh toh andar hai!
aur thitholna padega aapko
heera heere ka dil rakhta hai yeh sahi hai, lekin
is waqt toh dil bilkul gayab hai
andar gehri gehraiyon mein guskar bhi aap usey dhoond na
paayengi khisi ko diya tha ik baar, aur wapas lout
ke nahin aaya

zeenat: aur agar hum dhoond nikale?

(song begins)

lataa: pannaa ki tamannaa hai ki hiraa mujhe mil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
ho pannaa ki tamannaa hai ki hiraa mujhe mil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
hailorararu roooo
hailotarara rooooaa
panna ki tamanna hai ki hira mujhe mil jaaye
chahe meri jaan jaaye, chahe mera dil jaaye

kishor: hiraa to pahale hi kisi aur kaa ho chukaa - 2
kisi ki, madabhari, aankho me kho chukaa
yaado ki bas se dhul ban chukaa dil kaa phul
lataa: sine pe mai rakh dun jo haath phir khil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
ho pannaa ki tamannaa hai ki hiraa mujhe mil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye

lataa: dil to dete hai lete hai log ka_i baar - 2
huaa kyaa, kisi se, kiyaa thaa, tumane pyaar
yaado ko chhod de, vaado ko tod de
kishor: apani jagah se kaise parabat hil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye

lataa: la lalalalalalalala la la la la la la la
kishor: mhmmmmmmhmmmmhmmmmlala la la la
kishor: bhulaa naa mere dil ko kabhi jis kaa khayaal - 2
ho sake, to use, mere dil se tu nikaal
lataa (laughs) :
naa karun mai ye kaam to nahi meraa naam - 2
kishor: baato se ye zakhme-jigar kaise sil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
lataa: ho pannaa ki tamannaa hai ki hiraa mujhe mil jaaye
chaahe meri jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
kishor: hoilotarara roooo
hoilotarara roooo

both simultaneously:
kishor: la la la la
lata: hira hira hira hira
hira hira hira hira
la la la la
kishor: la la la la
lataa: hira hira hira hira
hira hira hira hira
la la la la