O Door Ke Musafir Hum Ko Bhi Saath Le Le
O Door Ke Musafir Hum Ko Bhi Saath Le Le
Singer:
Film:
Year:
1955
Music Director:
Lyricist:
Shakeel Badayuni
Lyric
Chale aaj tum jahaan se hui zindagi paraayi
tumhe mil gayaa thikaanaa hame maut bhi na aayi
O dur ke musaafir ham ko bhi saath le le re
ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele
o dur ke musaafir ham ko bhi saath le le re
ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele
Tune vo de diyaa gam bemaut mar gaye ham
dil uth gayaa jahaan se le chal hame yahaan se
le chal hame yahaan se
kis kaam ki ye duniyaa jo zindagi se khele re
ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele
Suni hai dil ki raahe khaamosh hai nigaahe
naakaam hasarato kaa uthane ko hai janaazaa
uthane ko hai janaazaa
chaaro taraf lage hai barabaadiyo ke mele re
ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele
o dur ke musaafir ham ko bhi saath le le re
ham ko bhi saath le le ham rah gaye akele.