Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

O Dilbar Jaaniye Tere Hai Hum Tere Chhoopa Lenge In aankho mein sanam hum gam tere

O Dilbar Jaaniye Tere Hai Hum Tere Chhoopa Lenge In aankho mein sanam hum gam tere

Year: 
1968
Music Director: 
Lyricist: 
Prakash Mehra

Lyric

(O dilbar jaaniye tere hai hum tere - (2)
Chhupaa lenge inn aankhon mein sanam hum ghum tere) - (2)
O dilbar jaaniye tere hai hum tere

Yuun baat baat baat pe tum rutha na karo
Dil tod tod maja luta na karo
O jaane jaana yeh toh hai ruswaayi pyaar ki
Inn baaton se badh jaayegi mehngaayi pyaar ki
Dhundein nahi paaogi tum baajaar mein aashiq
Daudenge 50 60 ke raftaar mein aashiq
Phir naam leke pyaar ka tum gaaya karogi
Sar phod ke deewaaron se chilaaya karogi
O dilbar jaaniye tere hai hum tere
Chhupaa lenge inn aankhon mein sanam hum ghum tere
O dilbar soniye tere hai hum tere

Ik din tumhaare dil mein bhi ik aag uthegi
Tufaan uthega muhabbat jaag uthegi
Ho jaaye aisa haal toh kar lena mujhako yaad
Sar ke bal chalkar aayunga sun kar teri fariyaad
Dil se mere khele ho abb sar se bhi khelo
Yeh dil jigar gurda tumhaara hai tumhi le lo
Ustaad hoon majanu ka main farhaad ka chela
Har haal mein haarega jo dil se mere khela
O dilbar jaaniye tere hai hum tere
Chhupaa lenge inn aankhon mein sanam hum ghum tere
O dilbar heeriye tere hai hum tere

O bewafa tune mujhe kahin ka nahi chhoda
Tu gussa jo karati hai kar le pyaar bhi thoda
Tere bina jina mera jina hai kya jina
Tadapunga main jab aayega saawan ka mahina
Woh husn bhi kya husn hai jo ishq na jaane
Dildaar ko aur yaar ko bilkul na pehchaane
Meri wafa ik din aisa kuchh rang laayegi
Ke naajani jaalim (haseena maan jaayegi -3)
O dilbar jaaniye tere hai hum tere
Chhupaa lenge inn aankhon mein sanam hum ghum tere
O dilbar soniye tere hai hum tere