Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Nain Deewane Ik Nahin Maane - Kare Man Maani

Nain Deewane Ik Nahin Maane - Kare Man Maani

Film: 
Year: 
1950
Music Director: 
Lyricist: 
Narendra Sharma

Lyric

nain deewane,nain deewane ek nahi maane
kare man mani, maane naa nain deewane
huye hai paraye, man haar aaye
man ka maram jane naa, maane naa, maane na
nain deewane kare man maani, maane na nain deewane

jana naa jana, man hi naa jana
chitavan saawan, banata nishana
kaisa nishana, kaisa nishana
man hi pahechane naa, mane naa, mane na
nain deewane ek nahin mane
kare man mani, maane naa nain deewane

jeevan beli, kare athakheli
jeevan beli, kare athakheli
maheke man ke bakul
preet phul phule, jhulaa jhule
chaheke man bul-bul, maheke man ke bakul
man kya jaane, kya hoga kal
dhaar samay ki baheti pal pal
jeevan chanchal, jeevan chanchal
din jaake phir aane na, maane na, maane na
nain deewane ek nahi maane
kare man mani, mane naa nain deewane