Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Naa Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun ( 2 ) Naa Kisi Ke Dil Ka dil ka qaraar hun

Naa Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun ( 2 ) Naa Kisi Ke Dil Ka dil ka qaraar hun

Film: 
Year: 
1960
Music Director: 
Lyricist: 
Bahadur Shah Zafar

Lyric

na kisi ki aankh ka noor hoon-(2)
na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake
main woh ek musht-e-gubbaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

na to main kisi ka habib hoon
na to main kisi ka raqeeb hoon
jo bigad gayaa woh naseeb hoon
jo ujad gayaa woh dayaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

meraa rang roop bigad gayaa
meraa yaar mujh se bichhad gayaa
jo chaman khizaan se ujad gayaa
main us hi ki fasal-e-bahaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

aye faatehaa koi aaye kyun
koi chaar phool chadhaaye kyun
koi aa ke shammaa jalaaye kyun
main woh be-kasi ka mazaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon