Manzile Apni Jagah Raaste Apni Jagah Jab Kadam Hi saath naa de
Manzile Apni Jagah Raaste Apni Jagah Jab Kadam Hi saath naa de
Lyric
manzilo pe a ke lutate hai dilon ke caravan
kashtiya sahil pe aksar dubati hai pyar ki
manzile apni jagah hai raste apni jagah (2)
jab kadam hi sath na de to musafir kya kare
yun to hai humdard bhi aur humsafar bhi hai mera (2)
badh ke koyi hath na de dil bhala fir kya kare
manzile apni jagah hai raste apni jagah
dubne wale ko tinke ka sahara hi bahot
dil bahal jaye fakat itna ishara hi bahot
itne par bhi asman wala gira de bijaliyan
koi batla de zara yeh dubta fir kya kare
manzile apni jagah hai raste apni jagah
pyar karna jurm hai to jurm hum se ho gaya
kabil-e-mafi hua karte nahin aise gunah
sangdil hai yeh jahan aur sangdil mera sanam
kya kare josh-e-junun aur hausla fir kya kare
manzile apni jagah hai raste apni jagah
jab kadam hi sath na de to musafir kya kare
yun to hai humdard bhi aur humsafar bhi hai mera
badh ke koyi hath na de dil bhala fir kya kare