Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Kuchh Log Mohabbat Ko Baipar Samajate Hain

Kuchh Log Mohabbat Ko Baipar Samajate Hain

Film: 
Year: 
1982
Lyricist: 
Sahir Ludhianvi

Lyric

mohabbat ka taluk, shan shaukat se nahi hota
yeh sara aisa sauda hain, jo daulat se nahi hota

kuch log mohabbat ko baipar samajate hain
duniya ko khilauno ka bajar samajate hain
kuch log mohabbat ko baipar samajate hain
kuch log mohabbat ko baipar samajate hain

daulat ka nasha inko kuch itna jada hain
daulat ka nasha inko kuch itna jada hain
duniya ki har ik shay ko, pane ka irada hain
apne ko to aalam ka mukhtar samajate hain
kuch log mohabbat ko

dil kya hain, wafa kya hain, yeh log na samjenge
mitne ki ada kya hain, yeh log na samjenge
har shaks ko bikane par
har shaks ko bikane par, taiyar samjate hain

kahiye bhi to in jaise dildaro ko kya kahiye
majbur hain aadat se, becharo ko kya kahiye
ham aise dimago ko
ham aise dimago ko
ham aise dimago ko
ham aise dimago ko, bimar samhjate hain
kuch log mohabbat ko baipar samajate hain