Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Kismat Ki Hava Kabhi Naram, Kabhi Garam

Kismat Ki Hava Kabhi Naram, Kabhi Garam

Film: 
Year: 
1951
Music Director: 
Lyricist: 
Rajinder Krishnan

Lyric

kabhi kaali ratiyaa, kabhi din suhaane
kismat ki baate to kismat hi jaane

o betaa ji,
are o baabu ji, kismat ki hava kabhi naram, kabhi garam
kabhi naram-naram, kabhi garam-garam,
kabhi naram-garam naram-garam re
o betaa ji

bade akad se betaa nikale ghar se actor hone
vaah ri kismat, vaah ri kismat, kismat me the likhe baratan dhone
are bha_i likhe baratan dhone
o betaa ji, jine kaa mazaa kabhi naram, kabhi garam

duniyaa ke is chidiyaa ghar me tarah tarah kaa jalavaa
mile kisi ko sukhi roti, kisi ko puri halavaa
are bha_i kisi ko puri halavaa
o betaa ji, khichadi kaa mazaa kabhi naram, kabhi garam

dard diyaa to thodaa thodaa, khushi bhi thodi thodi
vaah re maalik, vaah re maalik, duhkh aur sukh ki khub banaayi jodi
are vaah khub banaayi jodi
o betaa ji, jivan kaa nashaa kabhi naram, kabhi garam