Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Kabhi Ruk Gaye Hai - Kabhi Chal Diye , na jaane kise dhundhte hai safar mein

Kabhi Ruk Gaye Hai - Kabhi Chal Diye , na jaane kise dhundhte hai safar mein

Film: 
Year: 
1968
Music Director: 
Lyricist: 
Gulzar

Lyric

mujhko dosh na dena bandhu
mera koi dosh nahi
kisko dekar aaya tha dil
kise malum hosh nahi

kabhi ruk gaye hai
kabhi chal diye hai
na jane kise dhundte hai safar me
kabhi ruk gaye hai
kabhi chal diye hai
kise kho diya tha
na jane dagar me
kise kho diya tha
na jane dagar me
na jane kise dhundte hai safar me

akele rahe zindagi bhar
akele na dil sath aaya
na dil sath aaya
na gum sath aaye
akele rahe zindagi bhar
akele na dil sath aaya
na gum sath aaye
yahi rashte jinki manjil nahi thi
yahi rashte jinki manjil nahi thi
yahi sath the bas yahi sath aaye
kabhi ruk gaye hai
kabhi chal diye hai

kabhi mang kar le liye gum kisi ke
kabhi apne gum kar diye hai paraye
kabhi mang kar le liye gum kisi ke
kabhi apne gum kar diye hai paraye
ye bedard yade ye humdard aasu
ye bedard yade ye humdard aasu
badi dur tak chodne sath aaye
kabhi ruk gaye hai kabhi chal diye

kinara mila jo kinara nahi tha
bahana tha koi sahara nahi tha
yahi ek dil jisko samjhe the apna
yahi ek dil jisko samjhe the apna
na jane tha kiska hamara nahi tha