Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Jab Chaaye Kabhi Saawan Ki Ghata – Ro Ro Ke Na Karna yaad mujhe

Jab Chaaye Kabhi Saawan Ki Ghata – Ro Ro Ke Na Karna yaad mujhe

Year: 
1961
Music Director: 
Lyricist: 
Raja Mehandi Ali Khan

Lyric

jab chaaye kabhi saawan ki ghataa
ro ro ke na karna pyaar mujhe
ai jaane tamanna gham tera
karde na kahin barbaad mujhe
jab chaaye kabhi saawan ki ghataa

jo mast bahaaren aayin thin
wo rooth gayin iss gulshan se
jo mast bahaaren aayin thin
wo rooth gayin iss gulshan se
jis gulshan me do din ke liye
qismat ne kiya aabaad mujhe
jab chaaye kabhi saawan ki ghataa

wo raahi hoon pal bhar ke liye
jo zulf ke saaye me thahra
wo raahi hoon pal bhar ke liye
jo zulf ke saaye me thahra
ab le ke gayi hai peer kahin
ab ishq teri bedaag mujhe
jab chaaye kabhi saawan ki ghataa

ai yaade chaman ab laut bhi jaa
kyun aa gayi tu samjhaane ko
ai yaade chaman ab laut bhi jaa
kyun aa gayi tu samjhaane ko
mujhko mera gham kaafi hai
tu aur na kar naashaad mujhe
jab chaaye kabhi saawan ki ghataa
ro ro ke na karna pyaar mujhe
ai jaane tamanna gham tera
karde na kahin barbaad mujhe
jab chaaye kabhi saawan ki ghataa