Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Hum Dard Ka Afsana Duniya Ko Suna Denge

Hum Dard Ka Afsana Duniya Ko Suna Denge

Film: 
Year: 
1947
Music Director: 
Lyricist: 
Shakeel Badayuni

Lyric

Hum dard ka afsana duniya ko suna denge
Hum dard ka afsana duniya ko suna denge
Har dil me muhabbat ki ik aag laga denge
Har dil me muhabbat ki ik aag laga denge

Ho jayegi phir duniya aabad yatimo ki
Ho jayegi phir duniya aabad yatimo ki
Gunjegi zamane me fariyad yatimo ki
Gunjegi zamane me fariyad yatimo ki
Rote huye nagmo se toofan utha denge
Rote huye nagmo se toofan utha denge
Har dil me muhabbat ki ik aag laga denge

Sarkar-e-doalam ki ummat peh sitam kyun ho
Sarkar-e-doalam ki ummat peh sitam kyun ho
Allah key bando ko manjdhar ka gham kyun ho
Allah key bando ko manjdhar ka gham kyun ho
Islam ki kashtee ko hum paar laga denge
Islam ki kashtee ko hum paar laga denge
Ham dard kaa afsana duniya ko suna denge

Ehsan yatimo ki takdir pe kar dalo
Ehsan yatimo ki takdir pe kar dalo
Fariyad hai dil walo, fariyad hai dil walo
Fariyad hai dil walo, fariyad hai dil walo
Hum par bhi karam karna, hum tum ko dua denge
Hum par bhi karam karna, hum tum ko dua denge
Har dil me muhabbat ki ik aag laga denge.