Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Har Tukda Mere Dil Ka Deta Hai Duhaayi

Har Tukda Mere Dil Ka Deta Hai Duhaayi

Year: 
1966
Music Director: 
Lyricist: 
Aziz Kashmiri

Lyric

har tukda mere dil ka deta hai duhai
dil tut gaya aapko aawaz na aayi
aawaz na aayi
har tukda mere dil ka deta hai duhai
dil tut gaya aapko aawaz na aayi
aawaz na aayi
har tukda mere dil ka

manjil ko taraste hai aur samne manjil hai
kehna hi pada hamko kismat badi katil hai
manjil ko taraste hai aur samne manjil hai
kehna hi pada hamko kismat badi katil hai
chhup chhupke mere haal pe roti hai khudayi
dil tut gaya aapko aawaz na aayi
aawaz na aayi
har tukda mere dil ka

kya dosh hamara tha ham ye na samjh paye
dunia teri mahfil me hum aaye to kyu aaye
kya dosh hamara tha ham ye na samjh paye
dunia teri mahfil me hum aaye to kyu aaye
ab kitne janam aur jalaayegi judaai
dil tut gaya aapko aawaz na aayi
aawaz na aayi, aawaz na aayi
aawaz na aayi, aawaz na aayi

roka hai zamane me har baar milan apna
kab nind se jaagoge kab tutega ye sapna
roka hai zamane me har baar milan apna
kab nind se jaagoge kab tutega ye sapna
jaage na agar aap to jaagegi tabaahi
dil tut gaya aapko aawaz na aayi
aawaz na aayi, aawaz na aayi
aawaz na aayi, aawaz na aayi