Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Hai prit jaha ki rit sada, mai git waha ke gata hu

Hai prit jaha ki rit sada, mai git waha ke gata hu

Year: 
1970
Music Director: 
Lyricist: 
Indeevar

Lyric

jab zero diya mere bharat ne,
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab ginti aai
taaro ki bhaashhaa bhaarat ne
duniya ko pahale sikhalaayi

deta na dashamalav bharat to
yu chand pe jana mushkil tha
dharati aur chaand ki duri ka
adaaz lagaanaa mushkil tha

sabhyataa jahaa pahale ai
pahale janami hai jahaan pe kalaa
apana bhaarat jo bhaarat hai
jisake pichhe sasaar chala
sasaar chala aur aage badhaa
jyun aage badhaa, badhata hi gayaa
bhagavaan kare ye aur badhe
badhataa hi rahe aur phule-phale

hai prit jaha ki rit sada, mai git waha ke gata hu
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu

kaale gore kaa bhed nahee, har dil se hamaara naata hai
kuchh aur naa aata ho hamko, hame pyaar nibhaana aata hai
jise maan chukee saaree duniya, mai baat wahee dohraata hoo
bhaarat kaa rahane waala hoo, bhaarat kee baat sunaata hoo

jite ho kisee ne desh toh kya, hamne toh dilo ko jita hai
jaha raam abhee tak hain nar me, naree me abhee tak sita hai
kitane pawan hain log jaha, mai nit nit shish jhukaata hoo
bhaarat kaa rahane waala hoo, bhaarat kee baat sunaata hoo

itanee mamata nadiyo ko bhee, jaha maata kah ke bulaate hai
itana aadar insaan toh kya, patthar bhee puje jaate hai
uss dharatee pe maine janam liya, yeh soch ke mai itaraata hoo
bhaarat kaa rahane waala hoo, bhaarat kee baat sunaata hoo