Hai isi mein pyar ki aabroo - woh jafa kare mai wafa karun
Hai isi mein pyar ki aabroo - woh jafa kare mai wafa karun
Singer:
Film:
Year:
1962
Music Director:
Lyricist:
Raja Mehandi Ali Khan
Lyric
hai isi me pyar ki aabru, woh jafa kare mai wafa karu jo wafa bhi kam naa aa sake, toh wohi kahen ke mai kya karu mujhe gham bhi unaka ajeez hai, ke unhi ki di huyi cheez yahi gham hai abb meri jindgi, ise kaise dil se juda karu hai isi me pyar kee aabru jo naa ban sake mai woh bat hu, (jo naa khatm ho mai woh rat hu - 2) yeh likha hai mere nasib me, yuhi shamma banke jala karu hai isi me pyar kee aabru naa kisiki dil kee hu aarju, (naa kisi najar ki hu justuju - 2) mai woh phul hu jo udas ho, naa bahar aaye toh kya karu hai isi me pyar kee aabru, woh jafa kare mai wafa karu jo wafa bhi kam naa aa sake, toh wohi kahen ke mai kya karu hai isi me pyar kee aabru