Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Haaye - Mere Pairon Mein Ghunghru Bandha De Phir meri chaal dekh le

Haaye - Mere Pairon Mein Ghunghru Bandha De Phir meri chaal dekh le

Film: 
Year: 
1968
Music Director: 
Lyricist: 
Shakeel Badayuni

Lyric

dil paayaa albelaa maine
tabeeyat meri rangeeli
haay
aaj khushi mein maine bhaiyya
thodi si bhang pi lee
ha ha ha ha

haay mere pairon mein
haay mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le
zaraa jam ke bhaiyyaa
mohe laali chunar, mohe laali chunariyaa odhaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le
kyaa chaal hai tori?
zaraa jhoom le gori

a-haa, waah

haale dole kisi ki nathni
jhoome kisi kaa jhumkaa
har paari dil thaam le apnaa
aisaa lagaaun thumkaa
kaise bhalaa?
aise ding ka tikat phurr ka tikat aa
jab ho kisi ki byaah sagaayi
meri jawaani le angdaayi
meri jawaani le angdaayi
koyi meri haay haay
koyi meri bhi shaadi karaa de
to phir meri chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le

koyi ghoonghat waali mere
dil pe chalaaye chhuriyaan
koyi nainon waali chhode
nainon se phuljhadiyaan
roop hain laakhon aur ik dil hai
aape mein rahnaa bhi mushkil hai
aape mein rahanaa bhi mushkil hai
koyi ankhiyon haay haay
koyi ankhiyon se daaru pilaa de
to phir meri chaal dekh le
zaraa nain milaa ke
zaraa dil lagaa ke

ek najar se dil bharmaaye
dooji se le jaaye
teekhi najar tu aisi maare
jo dekhe lut jaaye
saari duniyaa tujhpe deewaani
main bhi to dekhoon teri jawaani
main bhi to dekhoon teri jawaani
zaraa mukhde hoy hoy
zaraa mukhde se ghunghtaa hataa de
to phir meri chaal dekh le
mohe laali chunar mohe laali chunariyaa odhaa de
to phir merii chaal dekh le
mere pairon mein ghunghroo bandhaa de
to phir meri chaal dekh le