Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam

Film: 
Year: 
1973
Music Director: 
Lyricist: 
Anand Baxi

Lyric

uniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Maanoon tujhe main Ram
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Main nahi kehta, kehte hain saare
Main nahi kehta, kehte hain saare
Toone banaaye chaand sitaare
Tu dukh door kare to mere
Meri bigdi banaaye to tere
Gun gaaoon subah-o-shaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Sathi jagat mein bas ik apna
Sathi jagat mein bas ik apna
Is jeevan ka aakhiri sapna
Woh bhi tod ke daata na le
Yun munh mod ke daata na le
Sar pe tu yeh iljaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Majboori tere dar pe le aayi
Majboori tere dar pe le aayi
Asha ki maine jyot jagaayi
Oh man ki bujhti jyot jaga de
Meri tooti aas bandha de
Aaya main tere dhaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam

Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Ho Ram, ho Ram
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Ho Ram, ho Ram