Door Kahin Ek Aam Ki Bagiyan , Bagiyan Mein Hai
Door Kahin Ek Aam Ki Bagiyan , Bagiyan Mein Hai
Lyric
dur kahi ik aam ki bagiya
dur kahi ik aam ki bagiya, bagiya me hai thandi chhaanv
chhaanv me ik kachcha rasta, raste me pyara sa gaanv
gaanv me ik chhota sa ghar, ghar me ik ujala sa aangan
aangan me chandan ka palna, palne me chanda sa munna
munne ki aankho me nindiya
dur kahi ik aam ki bagiya, bagiya me hai thandi chhaanv
chhaanv me ik kachcha rasta, raste me pyara sa gaanv
nile-nile aasmaan me taaro ka hai ek nagar
jagmag-jagmag ik taare par ik shehzadi ka hai ghar
chupke-chupke raat ko uth ke dhyan se dekhe koyi agar
jhilmil-jhilmil hai taare me us shehzadi ke jevar
shehzadi ithalaaye shehzadi ye gaaye
dur kahi ik aam ki bagiya
aadhi raat jab ho jaati hai jab duniya so jaati hai
taaro se shehzadi utar ke munne ke ghar aati hai
mithe-mithe saare sapne apne saath vo laati hai
sote munne ki palko pe ye sapne vo sajaati hai
sirhane vo aaye haule se vo gaaye
dur kahi ik aam ki bagiya