Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Din Raat Badalte Hai - Haalat Badalte Hai

Din Raat Badalte Hai - Haalat Badalte Hai

Year: 
1959
Music Director: 
Lyricist: 
Rajinder Krishnan

Lyric

din raat badalte hain
haalaat badalte hain
saath saath mausam ke
phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain
haalaat badalte hain
saath saath mausam ke
phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain

kabhi hameshaa dhoop rahi
na sadaa rahi kabhi chhaanv
ek jagah par kabhi ruke naa
waqt ke chalte paanv
baske ujadte ujadke baste
dekhen kitne gaanv
arre din raat badalte hain
haalaat badalte hain
saath saath mausam ke
phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain

beet hi jaayegi patjhad
phir aayegi hariyaali
aaj hai jo daali sooni
kal hogi phoolon waali
kaun chandaniyaa ko poochhe
jo na ho ratiyaan kaali
arre din raat badalte hain
haalaat badalte hain
saath saath mausam ke
phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain

ye jeewan ek bahti nadiyaa
dukh sukh iske rele
phool ki aashaa karnewaale
pahle kaante le le
kyaa jaane wo khushi ki keemat
jo na dard se khele
arre din raat badalte hain
haalaat badalte hain
saath saath mausam ke
phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain