Dil Lootne Wale Jaadugar Ab Maine Tujhe Pehchana Hai
Dil Lootne Wale Jaadugar Ab Maine Tujhe Pehchana Hai
Lyric
dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pehchaana hai
nazren to utha ke dekh zara
tere saamne ye deewana hai
dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pehchaana hai
nazren to utha ke dekh zara
tere saamne ye deewana hai
ye chaand sitaare
dekh na le
mere pyaar ke
naazuk bandhan ko
ye chaand sitaare
dekh na le
mere pyaar ke
naazuk bandhan ko
aankho mein chhupa kar
rakh loonga
is phool se komal
tan man ko
dheere se..
dheere se kaho
ye baat piya
jag apna nahi
begaana hai
nazren to utha ke dekh zara
tere saamne ye deewana hai
armaan tha tujh ko
dekhun main
saawan ki nasheeli
raaton mein
armaan tha tujh ko
dekhun main
saawan ki nasheeli
raaton mein
kho jaaye piya
hum tum dono
in pyaar ki
meethi baaton mein
tu samne..
tu samne hai
to sab kuchh hai
warna ye chaman
veerana hai
dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pehchaana hai
main pyaar ki
maala goothungi
aashaon ki kaliyaan
chun chun ke
main pyaar ki
maala goothungi
aashaon ki kaliyaan
chun chun ke
roothe na kahi
mujh se duniya
ye baat tumhaari
sun sun ke
armaan bhare..
armaan bhare dil waalon ka
duniya ne kaha
kab maana hai
nazren to utha ke dekh zara
tere saamne ye deewana hai
dil lootne waale jaadugar
ab maine tujhe pehchaana hai