Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Babul bhi roye beti bhi roye

Babul bhi roye beti bhi roye

Year: 
1990
Music Director: 
Lyricist: 
Anand Baxi

Lyric

Babul bhi roye beti bhi roye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Kaisi anokhi reet yeh haye
Koi janam de, koi le jaaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye

Itne laadon se jisko paala
Aaj usi ko ghar se nikala
Ho itne laadon se jisko paala
Aaj usi ko ghar se nikala
Hum kya cheez hain Raaje Maharaaje
Beti ko ghar mein rakh na paayein
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye

Peechhe reh gaya pyar purana
Aage jeewan path anjaana
Peechhe reh gaya pyar purana
Aage jeewan path anjaana
Sath duayein le ja sabki
Aur to koi sath na aaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye

Bhai behan ki bichhdi jodi
Reh gayin dil mein yaadein thodi
Bhai behan ki bichhdi jodi
Reh gayin dil mein yaadein thodi
Jaane yeh taqdeer nigodi
Phir kab bichhde meet milaaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye
Kaisi anokhi reet yeh haye
Koi janam de, koi le jaaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye

Yeh haathon ki chand lakeerein
Inmein likhin sabki taqdeerein
Yeh haathon ki chand lakeerein
Inmein likhin sabki taqdeerein
Kagaz ho to phaad ke phenkoon
Kagaz ho to phaad ke phenkoon
Bhaag ka likha kaun mitaaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Kaisi anokhi reet yeh haye
Koi janam de, koi le jaaye
Babul bhi roye beti bhi roye
Maa ke kaleje ke tukde hoyein
Babul bhi roye beti bhi roye