Baaki Kuchh Bacha To Mahangaai Maar Gayi
Baaki Kuchh Bacha To Mahangaai Maar Gayi
Film:
Year:
1974
Music Director:
Lyricist:
Verma Malik
Lyric
usne kaha tu kaun hai, maine kaha ulfat teri usne kaha tu kaun hai, maine kaha ulfat teri usne kaha takta hai kya, maine kaha surat teri usne kaha chahta hai kya usne kaha chahta hai kya, maine kaha chahat teri maine kaha samajha nahi, usne kaha qismat teri ek hame aankh ki ladaai maar gayi dusri to yaar ki judaai maar gayi tisri hamesha ki tanhaai maar gayi chauthi ye khuda ki khudaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi ek hame aankh ki ladaai maar gayi dusri to yaar ki judaai maar gayi tisri hamesha ki tanhaai maar gayi chauthi ye khuda ki khudaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi tabiyat thik thi aur dil bhi tabiyat thik thi ha tabiyat thik thi tabiyat thik thi ha ha tabiyat thik thi aur dil bhi ha ha dil bhi aji dil bhi beqraar na tha tabiyat thik thi aur dil bhi beqraar na tha ye tab ki baat hai ha ha baat hai ye tab ki, ye tab ki ha ha tabiyat thik thi aur dil bhi beqraar na tha ye tab ki baat hai jab kisi se pyaar na tha jab se prit sapno me samaai maar gayi man ke mithe dard ki gahraai maar gayi naino se naino ki ye sagaai maar gayi soch soch me jo soch aayi maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi kaise vaqt me hay hay kaise vaqt me, kaise vaqt me hay kaise vaqt me aa ke dil ko dil ki lagi bimaari, kaise vaqt me kaise vaqt me aa ke dil ko dil ki lagi bimaari mahangaai ki daur me ho gayi mahagi yaar ki yaari, kaise vaqt me dil ki lagi dil ko jab lagaai maar gayi dil ne ki jo pyaar to duhaai maar gayi dil ki baat duniya ko bataai maar gayi dil ki baat dil me jo chhupaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi pahle mutthi vich paise lekar pahle mutthi me paise lekar thaila bhar shakkar laate the ab thaile me paise jaate hai, mutthi me shakkar aati hai hay mahangaai mahangaai mahangaai, duhaai hai duhaai tu kahan se aayi, tujhe kyo maut na aayi, hay mahangaai mahangaai mahangaai shakkar me ye aate ki milaai maar gayi paudar vaale dudh di malaai maar gayi raashan vaali line di lambaai maar gayi janta jo chikhi chillaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi garib ko to bachcho ki padhaai maar gayi, padhaai maar gayi beti ki shaadi aur sagaai maar gayi, sagaai maar gayi kisi ko to roti ki kamaai maar gayi kapde ki kisi ko silaai maar gayi kisi ko to roti ki kamaai maar gayi kapde ki kisi ko silaai maar gayi kisi ko makaan ki banvaai maar gayi jivan de bas tin nisaan - roti kapda aur makaan roti kapda aur makaan, roti kapda aur makaan dhundh dhundh ke har insaan dhundh dhundh ke har insaan, kho baitha hai apni jaan jo sach sach bola to sachchaayi maar gayi sachchaayi maar gayi, sachchaayi maar gayi, aur baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi