Aate Hai Chale Jaate Hai – Jaane Wale Kabhi Kabhi
Aate Hai Chale Jaate Hai – Jaane Wale Kabhi Kabhi
Lyric
aate hain chale jaate hain janewale kabhi kabhi
yahan apne pyar se, logo ke dilo me yadgar ban jate hain
aate hain chale jaate hain janewale kabhi kabhi
yahan apne pyar se, logo ke dilo me yadgar ban jate hain
aate hain chale jaate hain, aate hain
rona na udas hona na ye aansu khona na
yahan nadan man bhi hona kabhi
pana hai kabhi kuch pana hai kabhi kuch khona hai
yahan jo hona hai hoga wahi
yahin zindagi hai yaha jiye wahi log jo
sare gum bhulake aansuon me muskurate hain
aate hain chale jaate hain, aate hain
chalna hai hume to chalna hai akele chalna hai
koi bhi ho ya na ho hamsafar
raho me ruke ya hum chale chale ya hum ruke
kahin bhi rukta nahi ye safar
ana jana laga rahe jeewan ki raho me
rahe wahi rehti hain rahi badal jaate hain
aate hain chale jaate hain, aate hain
rato ke andheri rato ke ghanere saye me
chupa to hoga sawera kahin
ayega sawera ayega ujale layega
andhere honge hamesha nahi
mane yahan har na jo kabhi kisi haal me
wahi yahan phool kabhi kaanton me khilate hain
aate hain chale jaate hain janewale kabhi kabhi
yahan apne pyar se logo ke dilon me yaadgar ban jaate hain
aate hain chale jaate hain, aate hain