Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Maai Ri – Mai Kaase Kahun Peer Apne Jiya Ki Maai Re

Maai Ri – Mai Kaase Kahun Peer Apne Jiya Ki Maai Re

Singer: 
Film: 
Year: 
1970
Music Director: 
Lyricist: 
Majrooh Sultanpuri

Lyric

maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki
maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki
maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki, maai ri

os nayan ki unke meri lagi ko bujhaaye na
tan man bhigo de aake aisi ghata koi chhaaye na
mohe baha le jaaye aisi lahar koi aaye na
os nayan ki unke meri lagi ko bujhaaye na
padi nadiya ke kinaare mai pyaasi, maai ri
maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki, maai ri

pi ki dagar me baithe maila hua ri mora aanchara
mukhda hai phika phika naino me sohe nahi kaajra
koi jo dekhe maiya prit ka vaase kahu maajra
pi ki dagar me baithe maila hua ri mora aanchara
lat me padi kaisi birha ki maati, maai ri
maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki, maai ri

aankho me chalte phirte roz mile piya baavare
baiya ki chhaiya aake milte nahi kabhi saanvare
duhkh ye milan ka lekar kaah kaaru kaha jaau re
aankho me chalte phirte roz mile piya baavare
paakar bhi nahi unko mai paati, maai ri
maai ri mai kaase kahu pir apne jiya ki, maai ri