Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Kuchh Din Pehle Kamal Kunj Me Rehta Tha Ek Hans Ka Joda

Kuchh Din Pehle Kamal Kunj Me Rehta Tha Ek Hans Ka Joda

Film: 
Year: 
1958
Music Director: 
Lyricist: 
Majrooh Sultanpuri

Lyric

ho..
kuchh din pehle
ek taal mein
kamal kunj ke andar
rehta tha
ek hans ka joda
ek hans ka joda

kuchh din pehle
ek taal mein
kamal kunj ke andar
rehta tha
ek hans ka joda
ek hans ka joda

roz roz roz bhor hote hi
jab khil jaate kamal
door door door moti chugne ko
hans ghar se jaata nikal

roz roz roz bhor hote hi
jab khil jaate kamal
door door door moti chugne ko
hans ghar se jaata nikal

sandhya hote
sandhya hote ghar ko aata
jhoom jhoom ke

kuchh din pehle
ek taal mein
kamal kunj ke andar
rehta tha
ek hans ka joda
ek hans ka joda

jab jab jab dhal jaata tha din
taare jaate the khil
so jaate hil mil ke wo dono
jaise lehron ke dil

jab jab jab dhal jaata tha din
taare jaate the khil
so jaate hil mil ke wo dono
jaise lehron ke dil

chanda hasta
chanda hasta dono ka mukh
choom choom ke

kuchh din pehle
ek taal mein
kamal kunj ke andar
kaun tha
ek has ka joda
ek has ka joda
ek has ka joda
ek has ka joda

thi un ki ek nanhi si beti
chhoti si hansni
dono ke nayno ki
wo jyoti ghar ki roshni

thi un ki ek nanhi si beti
chhoti si hansni
dono ke nayno ki
wo jyoti ghar ki roshni
mamta gaati mamta gaati
aur muskaati jhoom jhoom ke

kuchh din pehle
ek taal mein
kamal kunj ke andar
rehta tha
ek hans ka joda
ek hans ka joda
ek hans ka joda
ek hans ka joda

phir ek din aisa toofan aaya
chali aisi hawa
bechaare hansa ud gaye
re ho ke sab se juda

phir ek din aisa toofan aaya
chali aisi hawa
bechaare hansa ud gaye
re ho ke sab se juda

saagar saagar
saagar saagar
saagar saagar rote hain
ab ghoom ghoom ke
ghoom ghoom ke