Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai

mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai

Film: 
Year: 
1978
Music Director: 
Lyricist: 
Sahir Ludhianvi

Lyric

har taraf husn aur javani hai, aaj ki raat kya suhani hai
reshami jism 
reshami jism thartharaate hai, marmari hoth gungunate hai 
dhadakano mai surur faila hai, rang najdik-o-dur faila hai 
daavat-e-ishq de rahi hai faza, aaj ho jaa kisi hasi pe fida 
mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai 
mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai 

mohabbat ke dam se hai duniya ye roshan 
mohabbat na hoti to kuch bhi na hota 
najar aur dil ki panaho ki khatir 
ye jannat na hoti to kuch bhi na hota 
yahi ek aaram ki chiz hai, kam ki chiz hai
muhabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai

kitabo me chhapate hai chaahat ke kise
haqikat ki duniya me chahat nahi
kitabo me chhapate hai chaahat ke kise
haqikat ki duniya me chahat nahi
zamaane ke bazar me ye vo shah hai 
ke jisaki kisiko zarurat nahi hai
ye bekar bedaam ki chiz hai
ye kudarat ke inaam ki chiz hai
ye bas naam hi naam ki chiz hai, kam ki chiz hai
muhabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai
 
mohabbat se itana khafa hone vale
chal aa aaj tujhko mohabbat sikha de 
tera dil jo barso se vira pada hai 
kisi nazanina ko isme basa de 
mera mashavaraa kam ki chiz hai, kam ki chiz hai 
mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai
ye bekar benam ki chiz hai, kam ki chiz hai
mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai 
mohabbat bade kam ki chiz hai, kam ki chiz hai