chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono
Singer:
Film:
Year:
1963
Music Director:
Lyricist:
Sahir Ludhianvi
Lyric
chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono na mai tumse koi ummid rakhu, dilnavaji ki na tum meri taraf dekho, galat andaz nazro se na mere dil ki dhadkan ladkhadaye, meri bato me na jahir ho tumhari kashmkash ka, raz nazro se chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono tumhe bhi koi uljhan, rokti hai peshkadmi se mujhe bhi log kehte hain, ki ye jalve paraye hai mere hamrah bhi rusvaiya hai, mere majhi ki mere hamrah bhi rusvaiya hai, mere majhi ki tumhare sath bhi, gujri hui rato ke saye hai chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono tarruf rog ho jae, to usko bhulna behtar talluk bojh ban jae, to usko todna achchha woh afsana jise anjam tak, lana na ho mumkin woh afsana jise anjam tak, lana na ho mumkin use ek khubsurat mod dekar, chhodna achchha chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono chalo ek bar phir se, ajnabi ban jaye ham dono