Aaj tum se door ho kar aise roya mera pyar
Aaj tum se door ho kar aise roya mera pyar
Singer:
Film:
Year:
1967
Music Director:
Lyricist:
Sameer(Anjaan)
Lyric
Aaj tumse door ho kar, aise roya mera pyaar
Chand roya saath mere, raat royi baar baar
Kuch tumhare bandishein hain, kuch hain mere daayare
Jab muqaddar hi bane dushman to koi kya kare
Hay koi kya kare
Is muqaddar par kisika, kya hai aakhir ikhtiyaar
Chand roya saath mere, raat royi baar baar
Har tamanna se juda main, har khushi se door hoon
Jee raha hoon, kyonki jeene ke liye majboor hoon
Hay main majboor hoon
Mujhko marne bhi na dega, ye tumhara intazaar
Chand roya saath mere, raat royi baar baar