Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Khuda Bhi Aasman Se Jab Zameen Par Dekhta Hoga

Khuda Bhi Aasman Se Jab Zameen Par Dekhta Hoga

Film: 
Year: 
1970
Music Director: 
Lyricist: 
Rajinder Krishnan
Hasrat Jaipuri

Lyric

khuda bhee aasman se jab jamin par dekhta hoga -(2)
mere mehbub ko kisne banaya sochta hoga

khuda bhee aasman se jab jamin par dekhta hoga
mere mehbub ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhee aasman se

mussbir khud pareshan hai ke yeh tasvir kiskee hai
banogee jisakee tum aisee hasin takdir kiskee hai
kabhee woh jal raha hoga kabhee khush ho raha hoga
khuda bhee aasman se jab jamin par dekhta hoga
mere mehbub ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhee aasman se

jamane bhar kee mastee ko nigaho me sameta hai
kalee se jism ko kitni baharo me lapeta hai
huwa tumsa koyee pehle naa koyee dusra hoga
khuda bhee aasman se jab jamin par dekhta hoga
mere mehbub ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhee aasman se

farishte bhee yaha rato ko aa kar ghumte honge
jahan rakhtee ho tum panv jageh woh chumte honge
kiske dil peh kya gujree yeh wohee janta hoga
khuda bhee aasman se jab jamin par dekhta hoga
mere mehbub ko kisne banaya sochta hoga
khuda bhee aasman se