Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Jahan Daal Daal Par Sone Ki Chidiya Karti Hai Basera

Year: 
1965
Music Director: 
Lyricist: 
Rajinder Krishnan

Lyric

jaha daal daal par sone ki chidiya karti hai basera
vo bharat desh hai mera

gurur barhma gurur vishnu gurur dewa maheshwara
gurur sakshat parbarahma tasmeshwari guruwe nama
jaha daal daal par sone ki chidiya karti hai basera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera

jaha satya, ahinsa aur dharm ka pag pag lagata dera

jai bharti jai bharti jai bharti

ye dharti vo jaha rishhi muni japate prabhu nam ki mala
hari ram hari ram hari ram hari ram
jaha har balak ek mohan hai
aur radha har ek bala aur radha har ek bala
jaha suraj sabse pahle aakar dale apna phera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera

jaha ganga jamuna krishna or kaweri bahti jaye
jaha utar dakshin puraw pachim
ko amrit pilwaye ye amrit pilwaye
kahi ye to phal or phul uagaye kesar kahi bikhera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera

alabelo ki is dharti ke tyohar bhi hai alabele
kahi divali ki jagamag hai kahi hai holi ke mele

jaha rag rag aur hansi khushi ka charo aur hai ghera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera
jaha daal daal par sone ki chidiya karti hai basera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera

jaha aasman se bate karte mandir aur shivale
kisi nagar me kisi dvar par koi na tala dale
or prem ki basi jaha bajata aaye sham savera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera
jaha satya, ahinsa aur dharm ka pag pag lagata dera
vo bharat desh hai mera vo bharat desh hai mera
jai bharti jai bharti jai bharti, jai bharti